👉 Sms prepared by 👈
ZEBNEWS
* SawaL * JawaB *
Sender by —-
Tauqeer jameel – ksa
sawal — Kya dastarkhwaan pr thoda bahut bolna bhi zaruri h khamosh hokr khana sahi nahi h islah farmaye
jawab — Khana khate waqt bilkul chup rahna ye majusiyo ka tariqa hai lihaza zaruratan baat kare
sawal — iftaar ki jo dua h kya roza kholne k baad padhi jati h…aisa msg aya tha
Aur aftaar ki dua “Allahumma laka sumto” wo ek aadh lukma khaakar hi padhi jayegi
Sender by —-
Mushtaq ahmad – fatehpur
sawal — Naushad bhai atkaf m hazat k ilawah nha sakte hain k nhi Agr han to kis surat me
jawab — Bilkul naha sakte hain jab gusl ki haajat ho to nahana farz hai aur agar gusl farz nahin to is haalat me nahana kabhi sunnat hota hai kabhi mustahab aur garmi ki wajah se yunhi nahana mubah yaani jayaz hai,Bas masjid se baahar nahin aana hai
Sender by —-
xyz
sawal — اگر کوئ شخص عشاء کی نماز با جماعت نہیں پڑھی تو کیا وہ وتر کی نماز جماعت سے پڑھ سکتا ہے
jawab — Agar esha tanha padha hai to witr bhi tanha hi padhe jamat se nahin
Sender by —-
muhammad irfan – kanpur
sawal — bhai jaise kanpur me somdat plaza hai yaha sabhi 24 hai namaz bhi wahi padhate hai mere dost hai usko namaz nahi aati hai to batao aap unke piche namaz padh sakte hai ya apni
jawab — wahabi ke peechhe namaz ki koi surat hi nahin aur agar maaz ALLAH unhe musalman jaane jab to khud hi kafir hua aise me namaz padhne ki surat ye hai ki ya to apni jamaat alag banaye aur agar aapme se koi imamat ke laayaq nahin to sab tanha tanha padhen
Sender by —-
Siraj khan – bhopal
sawal — mera naam mohammed siraj khan hai aur m Bhopal m rhe kr padhai kr rha hun ap se Ek sawaal hai Kya dewbandio aur adar jamat ke piche namaz mukamal hogi ya nai Kyo k mai Ek sunni hun aur asakr mujhe alag alag masjid m namaz padhna padta hai jisme se sirf pure Bhopal m Ek hi sunni masjid hai Kya mere namaz kubaool hogi bhai juma ka bhi bata dein
jawab — ( wahabiyo ke peechhe namaz ka hukm oopar guzra ) Juma qaayam hone ki kuchh sharte hain jinme se ek ye bhi hai ki sultane islam ho ya uska naayab ya fir unke na hone par musalman apne liye jise imaam bana lein,Ab agar wo imam bad aqeedah hai to wo sharaite juma ko poora nahin karta wa lihaza aap agar us sunni masjid tak aasani se aa-ja sakte hain to juma padhne ke liye wahan jaaye aur agar nahin pahunch sakte to aap par juma farz hi nahi aap zohar hi padhenge
*** agar aapke dil me bhi kuchh deeni sawalat ho aur jinka jawab aap maslake AALAHAZRAT ki roushni me chahte ho type karen
Apna naam
Apna shahar
Apna sawal
aur whatsapp karen 9335732950 par.
NAUSHAD AHMAD “ZEB” RAZVI
GENERAL SECRETARY,ALLAHABAD
ALL INDIA JAMAT-E RAZA-E MUSTAFA