👉 Sms prepared by 👈
ZEBNEWS
* Monday *** SawaL-JawaB ****
Sender by —-
Xyz
sawal — Mustafa jaane rahmat pe laakhon salaam jab ek baar padha to laakhon salaam kaise pahunchega
jawab — Agar ye aitraz hai to dar asal ye aitraz khuda par hai,isko yun samjhiye ki maine aapse salaam kiya ASSALAMO ALAIKUM yaani salamati ho tum par,ab ye bataiye maine kah to diya magar ye salamati aap par naazil kaise hogi aur kaun naazil farmayega,zaahir si baat hai ALLAH tabarak wa taala hi salamati naazil farmane waala hai usi ke fazl se aap salamat rahenge,to hamara nabiye paak sallallaho taala alaihi wasallam ki baargah me laakhon salaam bhejna ya karodo durood bhejna dar asal rab ki baargah me dua hai ki “maula mere nabi ki baargah me mera laakhon salaam pahuncha” to ab bataiye rab pahuncha sakta hai ya nahin,agar haan to aitraz dafa ho gaya aur agar nahin to phir aapko ALLAH ki qudrat par bharosa hi nahin hai aapka imaan khatre me hai janab,are bhai ek nahin hazaron aisi riwaytein paayi jaati hai ki ek baar padho to hazaaro laakhon ka sawaab milta hai maslan
ALLAH rabbul izzat farmata hai ki shabe qadr 1000 mahino se behtar hai-para 30,surah qadr
Rajab ke 1 roze par 1 saal ke roze ka sawaab-ma sabat min sunnah,safah 126
Shabe baraat me 2 rakat nafl padhne me 400 saal ki ibadat ka sawab-nuzhatul majalis,jild 1,safah 132
Jo makka sharif me 1 ramzan paaye to 1 laakh ramzan ka sawab-bahare shariyat,hissa 5,safah 96
Kuchh duroode paak hain kisi ko 1 baar padhne par 1 laakh durood ka sawaab to kisi par 6 laakh durood ka sawab
Ab in sabko kya kahenge ki nahin aisa nahin ho sakta ek baar padhne par itna sawaab nahin mil sakta,ab kisi ko ALLAH ki qudrat par bharosha ho ya na ho magar hamein poora yaqeen hai ki jab hum 1 martaba MUSTAFA JAANE RAHMAT PE LAAKHON SALAAM padhte hain to beshak hamara parwar digaar hamara laakhon salaam hamare nabi ki baargah me pahuncha deta hai
Sender by —-
M siddique – kanpur
sawal — Kya kaala kapda pahanna jayaz hai
jawab — Bila shubah jayaz hai,haan bas muharram ke 10 roz na pahna jaaye
Almalfooz,hissa 4,safah 40
Sender by —-
M altaf – karnatak
sawal — Agar kisi ko duroode ibraheem ya uske baad ki dua yaad na ho to kya kare
jawab — Yaad kare sunnat hai jab tak yaad nahin hota koi sa durood padh lein namaz ho jayegi
Bahare shariyat,hissa 3,safah 76
Sender by —-
M ajmal – gorakhpur
sawal — Musafa karne ke baad kuchh log haath ko seene se lagaate hain iska kya hukm hai
jawab — Dono haathon se musafa karna sunnat hai haathon ko seene se lagaane ka to zikr nahin hai lekin koi aisa karta hai to ye koi najayzo haraam bhi nahin
Bukhari,jild 2,safah 926
Sender by —-
M ali – kanpur
sawal — Imaam agar muqtadiyon se aage kuchh oopar khada ho to kya hukm hai
jawab — Imaam agar muqtadiyon se 6 inch oonchi jagah par khada hota hai to aisa karna makruhe tahreemi hai namaz wajibul iyaada hogi
Fatawa razviya,jild 3,safah 415
Sender by —-
Asrar raza – mahoba
sawal — Kisi ke inteqaal ke baad uske kapdo ka kya kiya jaaye
jawab — Ghar waale agar pahanna chahen pahan sakte hain warna kisi gareeb ko de dein mayyat ki taraf se sadqaye jaariya hoga sawab pahunchta rahega
Abu daood,jild 1,safah 166
Sender by —-
Zeenat fatima – nagpur
sawal —
jawab —
Sender by —-
M suhail – karnatak
sawal — Kya namaz me aankhen bund kar sakte hain
jawab — makruh hai lekin agar aankhen bund karne se namaz me zyada dil lagta hai to behtar hai ki bund karke padhe
Bahare shariyat,hissa 3,safah 145
Sender by —-
Xyz
sawal — Agar namaz me alhamdo ke baad surah milana bhool gaya ruku me yaad aaya to kya kare
jawab — Ruku se wapas qayaam me laute surah padhe phir se ruku kare aur aakhir me sajda sahu karle
Fatawa razviya,jild 3,safah 639
Sender by —-
Nizaam uddin – sant kabir nagar
sawal — Buzurgane deen ke naam se fatiha karake khud hi kha lena kaisa hai
jawab — Sadqaye naafila khud kha sakte hain jayaz hai aur waise bhi buzurgane deen ki baargah me kiya gaya nazr tabarruk hai uska khaana faiz hai
Fatawa aziziya,jild 1,safah 78
Sender by —-
Ghaus uddin – fatehpur
sawal —
jawab —
Sender by —-
Bilal ashrafi – muradabad
sawal — Kya daadhi munda azaan de sakta hai
jawab — Koi maujood nahin hai to de sakta hai magar daadhi waala aa gaya to behtar hai ki iyaada kiya jaaye
Bahare shariyat,hissa 3,safah 33
Sender by —-
Xyz
sawal — kya ghar ke darwaze ke oopar togre me quran ki aayat likhi ho to laga sakte hain,hamare imaam sahab mana karte hain
jawab — bilkul laga sakte hain ye lagaana mahaz tabarruk ke liye hota hai,mana karne ki wajah agar ye hai ki quran ki aayat se paani hokar naali me bahega to ye fizool hai kyunki hadise paak se saabit hai ki fir’aun ne apne mahal ke sabse oopri hisse par BISMILLAHIR RAHMAANIR RAHEEM likhwaya hua tha jiski barqat se uska mahal halaqat se bachta raha,kya bismillah sharif quran ki aayat nahin hai,aur agar is wajah se mana karte hain ki quran par kisi gair muslim ki nazar na pade to ye bhi koi maayne nahin rakhta ki aksar beshtar hamare gharo me kabhi na kabhi koi gair muslim aa hi jaata hai agar che kisi bhi kaam se aaya ho,to agar ghar ke andar aaya to musalmano ke gharo me aksar togre tage hote hain jinme quran ki aayat likhi hoti hai to ispar nazar to padegi hi aur ghar ke andar togra lagaana jis par quran ki aayat likhi ho aalahazrat ne jayaz wa mustahsan farmaya hai
Tafseere kabeer,jild 1,safah 152
Fatawa razviya,jild 9,safah 522
*** agar aapke dil me bhi kuchh deeni sawalat ho aur jinka jawab aap maslake AALAHAZRAT ki roushni me chahte ho type karen
Apna naam
Apna shahar
Apna sawal
aur whatsapp karen 9335732950 par
Naushad ahmad “ZEB” razvi
General secretary,Allahabad
All india jamaat raza-e mustafa