👉 Sms prepared by 👈
ZEBNEWS
* Monday *** SawaL-JawaB ****
Sender by —-
Xyz
sawal — Agar maa baap sunni ho aur beta wahabi aur maa baap usko bura bhi na kahte hon to kya aise maa baap ke marne par unki beti ko maayike unki mayyat me jaana hoga ya nahin
jawab — Na jaaye yahi behtar hai
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
Nawaz zafar – bijnaur
sawal —
jawab —
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
Mujibur rahman – baranabi
sawal —
Sender by —-
Xyz
sawal — Shauhar kamane ko baahar gaya aur 10 saalon tak biwi ki khabar nahin li 10 saal ke baad aurat ne shaadi karli,pahla shauhar ab wapas aa gaya to aurat kya kare
jawab — Aurat ko nikah karna hi haraam tha aur wo nikah hua hi nahin wo ab bhi pahle shauhar ki biwi hai,agar usko nikah karna hi tha to shahar qaazi se istifta karti wo shauhar ko notice deta aur jab behtar samajhta to nikah ko tod deta lekin yahan to aisa kuchh bhi nahin,aurat uske haaliya shauhar aur pahla shauhar sab par tauba waajib hai,aurat aur haaliya shauhar par to yun ki bagair talaaq liye nikah kiya aur pahle shauhar par yun ki 10 saal tak apni biwi ki khabar kyun na li
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
H hashmi qadri – azamgarh
sawal — Mayyat ke 6 mahine baad kya us ghar me kisi ki shaadi ho sakti hai
jawab — jis ghar me mayyat ho uske doosre din nikah ho sakta hai
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
Salman shaikh – jalgaon
sawal — Kya teen talaaq ke baad bagair halaala kare aurat pahle shauhar ke paas rah sakti hai
jawab — haraam haraam haraam hai,agar islami kanoon hota to aiso ko patthar maar maarkar sangsaar kar diya jaata magar yahan aisa nahin kar sakte,phir bhi un dono ka bycott karna wahan ke musalmano par waajib hai
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
Aasif husain – pratapgarh
sawal — kya insurance bechna jayaz hai
jawab — life ya health insurance ki company me naukri karna jayaz hai aur uski kamayi jayaz hai magar gaadiyon ka insurance karne ka pesha musalmano ko karna hargiz jayaz nahin
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
Aaftab khan – mumbai
sawal — Kya wali ke kahne par roza tod sakte hain aajkal ek msg bahut aa raha hai jisme kaha gaya ki roza na todne par ek shakhs par wayeed aayi
jawab — Nafl roza sirf is surat me tod sakte hain jabki ghar me mehman aaya ho aur wo bagair mezbaan ko saath liye khaana khaane ko taiyar na ho,baaki jo hai sab be asl hai
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
Rubina ali – jharkhand
sawal — Ek msg aaya hai ki maula ali ki wiladat kaabe sharif ke andar nahin huyi hai aur jo aisa kahte hain ki unki wiladat kaabe sharif ke andar huyi hai to unko sakht taaqeed ki gayi hai,rahnumayi karen
jawab — Isme ikhtelaaf hai dono tarah ki riwayatein maujood hain shaikh abdul haq muhaddais dehlavi raziyallahu taala anhu ne madarejun nubuwat me bhi yahi likha hai ki maula ki wiladat kaabe sharif ke andar huyi hai phir bhi ikhtilaf ki bina par agar che ye yaqeen se nahin kaha ja sakta ki maula ali raziyallahu taala anhu ki wiladat kaabe sharif ke andar hi huyi hai to ye bhi yaqeen se nahin kaha ja sakta ki unki wiladat wahan nahin huyi hai,lihaza sakht taaqeed ka kya matlab
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
*** agar aapke dil me bhi kuchh deeni sawalat ho aur jinka jawab aap maslake AALAHAZRAT ki roushni me chahte ho type karen
Apna naam
Apna shahar
Apna sawal
aur whatsapp karen 9335732950 par
Naushad ahmad “ZEB” razvi
General secretary,Allahabad
All india jamaat raza-e mustafa