👉 Sms prepared by 👈
ZEBNEWS
* Monday *** SawaL-JawaB ****
Sender by —-
xyz
sawal —
jawab —
Sender by —-
Afzal ansari – kanpur
sawal — Lower ya t-shirt me namaz padhna kaisa hai
jawab — Agar lower pahankar shaadi me ja sakta hai to bila shubah masjid bhi ja sakta hai agar lower pahankar interview dene ja sakta hai to yaqinan khuda ke saamne bhi ja sakta hai,bahar haal shariyat ne makruh rakha hai agar uske paas doosre kapde ho to warna isi me namaz ho jayegi magar ye adab ka masla hai lihaza parhez karen
Bahare shariyat,hissa 3,safah 171
Sender by —-
Firoz azhari – bahraich
sawal —
jawab —
Sender by —-
Farzana begum – allahabad
sawal — Kya ALLAH aur uske mahboob ke 99 naam hi hain jaisa ki bataya jaata hai
jawab — Ye 99 naam jo bataye jaate hain ye mashhoor hain warna huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ke naamo ki taadaad par aalahazrat farmate hain ki maine 1400 paaye aur kitne honge ye jaanna namumkin aur ALLAH ke naamo ke baare me imaam raazi farmate hain ki 5000 hain jinme se 1000 taurait me 1000 zaboor me 1000 injeel me 1000 quran me aur 1000 lauhe mahfooz par,aalahazrat farmate hain ki uske naamo ka koi shumaar nahin
Ahkame shariyat,hissa 2,safah 157
Tafseere kabeer,jild 1,safah 119
Sender by —-
Mahmood khan – agra
sawal — Sahaba ikram me sabse lambi umr kisne paayi hai
jawab — Salman faarsi raziyallahu taala anhu,aapne hazrat eesa alaihissalam ka zamana bhi paaya hai
Madarejun nubuwat,jild 2,safah 121
Sender by —-
M aatif – mumbai
sawal — Kya huzoor ke wisaal ke baad se hi masjide nabwi ko gumbade khazra kaha jaata hai ya pahle bhi kaha jaata tha
jawab — 1255 hijri me sultan mahmood ne uspar hara rang chadhwaya tabse wo gumbade khazra ke naam se mashhoor hua usse pahle uspar safed rang tha aur tab use qubbatul baida kahte the aur masjide nabwi pahle bhi log kahte the aur aaj bhi kahte hain bas huzoor ke rauze ko gumbade khazra kaha jaata hai
Maahnama ashrafia,june 1998
Sender by —-
Rizwan ahmad – kanpur
sawal —
jawab —
*** agar aapke dil me bhi kuchh deeni sawalat ho aur jinka jawab aap maslake AALAHAZRAT ki roushni me chahte ho type karen
Apna naam
Apna shahar
Apna sawal
aur whatsapp karen 9335732950 par
Naushad ahmad “ZEB” razvi
General secretary,Allahabad
All india jamaat raza-e mustafa