👉 Sms prepared by 👈
ZEBNEWS
* Monday *** SawaL-JawaB ****
Sender by —-
Shan muhammad – muradabad
sawal — Kahan kahan salaam karna mana hai
jawab — Azaan ke waqt,khutbe ke waqt,khaana khaate waqt,aalim ka ilm bayaan karte waqt,zikr ya tilawat ya dars ke waqt salaam karna mana hai isi tarah koi toilet ya baathroom me ho ya koi patang baazi kabootar baazi ya shatranj ya koi aur bhi lagu khel khel raha ho to use salaam karna mana hai
Bahare shariyat,hissa 16,safah 91
Sender by —-
Hafiz niyazuddin – nagpur
sawal — Agar namaz me seena khula dikh raha ho to kya namaz hogi
jawab — Makruhe tahreemi yaani najayaz hai namaz ko dohrana waajib hai nahin dohrayega to gunahgaar hoga
Fatawa razviyah,jild 3,safah 447
sawal — Suna hai fried rice ek powder hai jo ki suwar ki charbi se bana hua hai
jawab — Aisa nahin hai bhai jaan fried rice ko aap biryani ya pulaav samajh sakte hain ye veg bhi banti hai aur non veg bhi,haan ajinomoto ek salt hota hai iske baare me kaha jaata hai ki isme suwar ki charbi ya bone hoti hai,magar isme bhi 2 kism hoti hai ek veg aur doosra non veg net par to yahi show karta hai bahar haal agar maan bhi liya jaaye ki isme suwar ki charbi nahin hai tab bhi ye sehat ke liye bahut nuksaan deh hai aur chinese khaane me aksar ye pada hota hai to shariyat ka hukm to yahi hai ki jo bhi cheez sehat ko nuksaan pahunchaye usse bacha jaaye aur waise bhi shaq ki bina par chhod dena afzal hai
Sender by —-
M ajaz – alld
sawal — Kya fajr ke baad nafil padh sakte hain
jawab — Subah saadiq se lekar tuluwe aaftab tak matlab ki fajr ke poore waqt me nafl padhna jayaz nahin hai yahan tak ki agar kisi ki sunnate fajr chhoot gayi aur farz padhne ke baad padhna chahta hai to nahin padh sakta jab ki suraj na nikal aaye aur uske 20 minute baad sunnat ki qaza padhe
Fatawa razviyah,jild 3,safah 620
Bahare shariyat,hissa 3,safah 24
Sender by —-
Kaifi raayin – mumbai
sawal — Kya aurat laud speaker par taqreer kar sakti hai
jawab — Hadise paak me aata hai ki jo aurat khushbu lagakar nikle aur wo khushbu kisi mard ko pahunche to wo aisi hai ki jaise usne zina karaya maaz ALLAH doosri hadise paak hai ki jo aurat ghar me aise zevar pahanti hai jo bajte ho to us qaum ki dua hargiz qubool na hogi teesri hadise paak hai ki ek musalman aurat ka kaafirah aurat ke saamne bhi apna badan kholna jayaz nahin hai
Ab sochiye ki jab musalman aurat ka kaafir aurat se parda hai wo bajne waala zevar nahin pahan sakti khushbu nahin laga sakti to uski aawaz to ain uski aawaz hai uska kis qadr parda chahiye,aisi naam nihaad aalima jo laud speaker par taqreer karti hain unko chahiye ki pahle wo apni islaah karen baad me muaashre ki
Khazayenul irfan,safah 421
Sender by —-
Sermin razviya – varanasi
sawal — Jab chaaron imaam me ikhtilaaf hai to chaaron haq par kaise hain
jawab — Masayil ke 4 imaam hain hazrate imaame aazam,hazrate imaam shafayi,hazrate imaam maalik aur hazrate imaam ahmad bin hambal,ye chaaron hi aqayid par muttafiq hain ikhtilaaf hai to furu me,is zamane me haq inhi chaaron me se kisi ek ki pairvi me hain aur jo inse alag hua wo gumrah be deen hai
,aapke sawal ka jawaab ye hai ki chaaro hi ikhtilaaf ke bawajood haq par kaise hain,uske liye ye hadise paak padhiye bani quraiza par jald pahunchne ki garz se huzoor sallallaho alaihi wasallam ne apne sahabiyon me ye elaan karwaya ki hum asr ki namaaz bani quraiza pahunch kar padhenge,sabhi hazraat zohar padhkar nikle aur safar karte rahe yahan tak ki asr ka waqt bahut thoda rah gaya,to kuchh sahaaba ikraam ne namaz padhni chaahi to kuchh ne mana kiya ki huzoor ka kahna hai ki namaz wahin pahunchkar padhenge ispar wo sahaba kahne lage ki huzoor ka kahna bilkul haq hai magar unhone ye nahin kaha ki agar namaz ka waqt nikal jaaye tab bhi mat padhna to wo sahaaba namaz padhe aur kuchh nahin padhe jab huzoor bani quraiza pahunch gaye to namaze qaza padhi gayi phir huzoor ke saamne un sahabiyon ka tazkira hua to aapne farmaya ki jinhone pahle padhli unko sawab aur jinhone ab mere saath padhi unko do guna sawab,dekhiye yahan namaz ada karne par bhi sawab mil raha hai aur qaza karne par bhi sawab mil raha hai to bas isi tarah chaaro imaam mujtahid the jisne sahi masla apne hisab se nikaala to use do guna sawaab aur jisne masla samajhne me galti ki to us galti par bhi ek guna sawaab,kyunki mujtahid ki khata maaf hai
,aur ye ikhtilaf ummat ke liye rahmat is tarah hai ki kisi ko deen ki kisi baat par amal karne ka mauqa mil raha hai kisi ko kisi doosri baat par kyunki shariyat ek chaman hai aur chaman har tarah ke phoolo se banta hai kahin gulab to kahin chameli kahin kahin juhi to kahin nargis,aur awaam ko ikhtilaaf me padne ko isliye mana kiya jaata hai ki wo ilm to rakhte nahin hain to wo kisi baat ka inkaar kar baithenge jo unki aakhirat kharaab kar dega lihaza yahi kaha jaata hai ki apne imaam ki pairvi karo aur ikhtilaf me na pado
Bukhari,jild 1,kitabul jihad
Muslim,jild 2,safah 95
sawal — Yahan ke kaafiro ke saath kis tarah pesh aana chahiye
jawab — Hindustan ke kaafir harbi hain aur harbiyon ke liye hukm ye hai ki kisi jungle me ek kutta aur ek kaafir pyaase hon aur paani ek ko hi pilaane ka ho to kutte ko pila de magar kaafir ko na de,ab khud hi samajh lijiye ki kaafiro ke saath kaisa bartaav karna chahiye
Almalfooz,hissa 1,safah 93
sawal — Jo imaam ghoomne ke taur par mandir ya church me jaata ho to uspar kya hukm hai
jawab — Kaafiro ke ibaadat khaane me jaana jayaz nahin,imaam faasik hai uske peechhe namaz padhna makruhe tahrimi wajibul iyaada,jab tak ki tauba na kare
Almalfooz,hissa 4,safah 38
Sender by —-
Naseem malik – dammaam
sawal — Maula ALI raziyallahu taala anhu ne kitni shaadi ki aur aapki kitni aulaad thi
jawab — Jab tak hazrate faatima zuhra raziyallahu taala anha aapke nikah me rahin tab tak aapko doosra nikah haraam tha magar unke wisaal ke baad aapne deegar waqto me 8 aurton se nikah kiya yaani kul aapki 9 biwiyan thin aur un sabse 32 auladein huyin jinme 15 sahabzaade aur 17 saahab zadiya hain
Khutbate muharram,safah 251
Sender by —-
Muhi uddin – mumbai
sawal — Ungliya chatkhana kaisa hai
jawab — Makruh hai lekin namaz ki haalat me aisa karna makruhe tahrimi yaani najayaz hai namaz dohrani hogi
Fatawa razviyah,jild 1,safah 205
Sender by —-
Saddam husain – gujrat
sawal — Agar kufriya gaana sun le halaanki use bura jaanta ho to kya hukm hai
jawab — Awwal to gaana sunna hi haraam hai kyunki usme music hoti hai doosra ye ki kufriya gaana sunne ki 2 surat hai pahla ye ki agar maloom nahin tha ki is gaane me aisa koi lafz aayega jab to harj nahin lekin maloom tha ki is gaane me kalmaye kufr hai fir bhi suna to ye sunna kufr ko pasand karna hoga aur maaz ALLAH kufr ko pasand karna bhi kufr hai
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
M junaid – sultanpur
sawal —
Sender by —-
M islam – jhansi
sawal —
Sender by —-
Xyz
sawal — Kya huzoor ke kaandhon par bhi kiraman kaatebeen maujood the
jawab — Ji bilkul,unke saath to insaano ke saath paida hone waala shaitan hamzaad bhi paida hua hai magar wo aapki sohbat me rahkar musalman ho gaya balki tamam ambiya ke hamzaad imaan laaye
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
Abdul sattar – naasik
sawal — Kya mobile me quran rakh sakte hain
jawab — Rakh sakte hain harj nahin
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
M saif – alld
sawal — Kya gulab huzoor ke pasine se paida hua hai
jawab — Riwayat me aata hai ki jab huzoor sallallaho taala alaihi wasallam buraaq par baithe meraj me jaane ke liye to aapko pasina aaya usi pasine se gulab ka darakht ugaya gaya
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
Taariq husain – alld
sawal —
jawab — MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
Ateeq khan – lucknow
sawal — Jagah jagah par huzoor ke qadmon ke nishaan ki ziyarat karayi jaati hai kya ye sahi hai
jawab — hadise paak me aata hai ki jab mere aaqa sallallaho taala alaihi wasallam chalte the to patthar mom ki tarah ho jaate the jin par aapke qadmon ke nishaan baaki rah jaate aur wahi patthar buzurgon ke zariye hum tak pahuncha to agar musalman sunni sahiul aqeeda ye kahte hain ki ye qadme rasool hai to unki gawahi motabar hai uski taazeem karni hogi
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
Xyz
sawal — Kya l.i.c ya sahara me agent banna sahi hai aur agar kisi sharabi ka paisa jama karne ke liye uske paas jaana pade to kya ja sakte hain
jawab — Agent banna yaani commision lena makruhe tanzihi hai yaani jayaz hai magar tayyab nahin aur kaafir se bhi muaamlat rakhne me harj nahin yaani duniyavi garz se kaam nikaalne ke liye ja sakte hain
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
Ashraf ali – delhi
sawal — Wuzu karte waqt kuchh dua padhi jaati hai agar bathroom me wuzu kare to kya wo dua padh sakte hain
jawab — nahin padh sakte
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
*** agar aapke dil me bhi kuchh deeni sawalat ho aur jinka jawab aap maslake AALAHAZRAT ki roushni me chahte ho type karen
Apna naam
Apna shahar
Apna sawal
aur whatsapp karen 9335732950 par
Naushad ahmad “ZEB” razvi
General secretary,Allahabad
All india jamaat raza-e mustafa