👉 Sms prepared by 👈
ZEBNEWS
* Monday *** SawaL-JawaB ****
Sender by —-
Mohib raza – buldhan
sawal — meraj sharif me mere aaqa nalain sharif pahankar arshe aazam par gaye the kya ye riwayat sahi hai
jawab — mahaz jhooth aur manghadant hai usi tarah ye baat bhi bilkul be asl hai ki qabr se uthne par har momin ki qabr par ek buraaq bhejne ka mere aaqa sallallaho taala alaihi wasallam ne apne rab se waada le liya hai
Ahkame shariyat,h 2,s 144
Sender by —-
Saif raza – allahabad
sawal — agar kisi bad aqeede ko bura jaante hue kya usse hansi mazaak kar sakte hain aur kya ghar aana jaana tohfa ka lena dena kiya ja sakta hai
jawab — hadise paak me aata hai ki bad mazhab se door raho aur unhein apne qareeb na aane do ki kahin wo tumhe gumrah na kar dein aur kahin wo tumhe fitne me na daal dein,agar wo beemar padein to unki iyadat na karo agar wo mar jaayen to unke janaze me sharik na ho unse mulaqat hone par salaam na karo aur na hi unke salaam ka jawab do na unke paas baitho na khao na piyo na shaadi biyah karo,na unka janaza padho aur na hi unke saath koi namaz padho
Mishkat,jild 1,safah 22
Sender by —-
xyz
sawal —
jawab — s
Sender by —-
Mansoor razvi -tisgaon
sawal — kya masjid me nikah kiya ja sakta hai jabki ho sakta hai ki badmazhab ya bagair taharat ke bhi log aa jayen
jawab — masjid me nikah karna sunnat hai magar isme ehtiyat ki bahut sakht zarurat hai jise aajkal nibha paana bahut mushkil hai jaise ki masjid me duniya ki jayaz baat karna bhi jayaz nahin hai ab agar shaadi karne pahunche hain to wahan kutchehry ki tarah bahas shuru ho jayegi fir kisi bhi bad mazhab ko masjid me jaane se rokna waajib hai ab shaadi me aaye hue kisi wahabi ko kaise rokenge aur fir har aane wala zaruri nahin ki gusl aur wuzu se paak hi ho ab wuzu na ho to chalega magar gusl se paak na hua tab to uska masjid me daakhil hona hi haraam hai lihaza in sab baaton ko dekhte hue masjid me nikah ki ijazat nahin di ja sakti haan agar suuni sahiul aqeeda sirf chund log yaani dulha aur uske wali ya gawaah wagairah jaakar sukuno itminan ke saath masjid ke ehkaam ko poora karte hue nikah kar aayen to koi harj nahin
Bahare shariyat,hissa 3,safah 151–156
Bahare shariyat,hissa 16,safah 120
sawal — kya farzi mazaar banana aur fir wahan taqreer karwana aur usme ulma ikram ka sharik hona kaisa hai
jawab — farzi mazaar banana unpar haziri dena fatiha padhna urs karna chadar chadhana ye sab najayzo haraam hai,jo haaziri dete hain tauba karen
Fatawa razviya,jild 4,safah 115
sawal — kya masjid me jamaat ho jaane ke baad bhi kuchh aur log jamaat bana sakte hain
jawab — jamaate saniya bila shubah jayaz hai magar imaam ke mehrab se hatkar daayen ya baayen bagair azaan ke sirf ekamat kahkar qaayam kar sakte hain
Bahare shariyat,hissa 3,safah 130
Sender by —-
xyz
sawal — kya bewa saas apni suhagan bahu ka zevar pahan sakti hai jabki use wapas karna ho
jawab — bewa agar jawaan hai to iddat guzarne ke baad jab wo nikah kar sakti hai to zevar kyun nahin pahan sakti,bahar haal iddat guzarne ke baad wo nikah kare ya na kare uski marzi hai magar banao singaar kar sakti hai koi manahi nahin
sawal — kya machhli aur arhar ki daal par fatiha nahin hoti
jawab — kyun nahin hogi,har wo halaal cheez jo kha sakte hain uspar fatiha bhi dila sakte hain
Galat fahmiyan aur unki islah,s 85-153
Sender by —-
Shahbaz ali – gujrat
sawal — kya patang uda sakte hain
jawab — patang udana najayaz hai aur uski dor lootna haraam,agar us dor se kapda sil diya jaaye to wo kapda pahnna haraam aur uspar namaz padh li to namaz wajibul iyada
Ahkame shariyat,hissa 1,safah 45
Sender by —-
M ansaar – rajasthan
sawal — jin namazo me imaam aawaz se qirat nahin karte kya unme muqtadi qirat kar sakta hai
jawab — imaam ke saath kisi bhi namaz me muqtadi ko qirat jayaz nahin chahe wo namaz jahri ho ya sirri
Muslim,jild 1,safah 215
Sender by —-
Hina razviya – jharkhand
sawal — koi aisa wazifa batayen jo kamzor zabaan waale bhi aasani se padh saken
jawab — ya KAREEMO padhen,aasani se ada hoga,har namaz ke baad kam se kam 100 baar padhne ki aadat daalein insha ALLAH iski barkat se maalo daulat izzat shohrat ilm sab kuchh haasil hoga
Shmaye shabistane raza,h 2,s 239
*** agar aapke dil me bhi kuchh deeni sawalat ho aur jinka jawab aap maslake AALAHAZRAT ki roushni me chahte ho type karen
Apna naam
Apna shahar
Apna sawal
aur whatsapp karen 9335732950 par
Naushad ahmad “ZEB” razvi
General secretary,Allahabad
All india jamaat raza-e mustafa