👉 Sms prepared by 👈
ZEBNEWS
** Monday ** SawaL-JawaB **
Sender by —-
xyz
sawal — kya masjid ki taameer me kaafiro se chanda le sakte hain
jawab — najayzo haraam hai,maula quran me farmata hai
Sender by —-
Suhail akhtar – alld
sawal — agar jume ki namaz wahabi ke peeche padh liya to kya hukm hai
jawab — maaz ALLAH,agar dhoke se padh liya ki pata nahin tha ki masjid kiski hai imaam kaun hai jab to maaloom hone par tauba karen aur agar jaanbujhkar wahaabi ke peechhe namaz padhi to islam se khaarij hai tajdeede imaan tajdeede nikaah aur tajdeede baiyat sab hi karni padegi
TAMHEEDE IMAAN
Sender by —-
Faiyaz khan – mumbai
sawal — bahut si dargaaho par maghrib ke baad nagada bajaya jaata hai iska kya hukm hai
jawab —
Sender by —-
rasheed ahmad – alld
sawal — kya nabi ke zamaane me bhi wahaabi the
jawab — bhai jaan nabi ke zamaane me munafiq the unhi munafikon ki kayi shaakhen aaj zamaane me maujood hai jinme se ek wahaabi bhi hai aur qurbaan jaayiye mere AALAHAZRAT par aap ek hadees bayaan karte hue kya farmaate hain padhiye “gazwaye hunain me huzoore aqdas sallallaho taala alaihi wasallam apne haathon se maale ganimat taqseem farma rahe the is par ek wahaabi ne kaha ki main is taqseem me adl nahin paata kyunki kisi ko kam kisi ko zyada ata farmaya to hazrat umar farooqe aazam ne uske qatl ki ijazat chaahi to aap sallallaho taala alaihi wasallam farmaate hain ki rahne do ki iski nasl se bahut saare aise log paida hone waale hain
AALAHAZRAT ne us munafiq ko wahaabi likha to agar ba naam wahaabi zamanaye aqdas me nahin the magar inke baap-dada in munafikon ko apni pusht me liye nabi ke zamaane me bhi maujood the
ALMALFOOZ,H 1,P 58
Sender by —-
xyz
sawal — kya naapaki ki haalat me namaz ho jaayegi
jawab — maaz ALLAH,agar namaz ke beech me wuzu toot gaya aur sharm ki wajah se nahin nikla to agar jaanta tha ki is haalat me namaz nahin padh sakte aur padhi to usne haraam kaam kiya aur agar bagair wuzu hi namaz padhne ko jayaz jaane aur namaz shuru kare to kaafir hua
BAHARE SHARIAT,H 2,P 7
Sender by —-
Mohib raza – maharashtra
sawal — jo imaam jhoot bole waada khilaafi kare kya uske peechhe namaz padhna jayaz hai
jawab — agar alal elaan ye gunaah karta hai jab to faasik hai use imaam banana najayaz uske peechhe namaz padhna makruhe tahrimi,aur agar chhipkar karta hai to padh sakte hain
FATAWA RAZVIYA,J 3,P 253
Sender by —-
xyz
*** agar aapke dil me bhi kuchh deeni sawalat ho aur jinka jawab aap maslake AALAHAZRAT ki roushni me chahte ho type karen
Apna naam
Apna shahar
Apna sawal
aur whatsapp karen 9335732950 par.
NAUSHAD AHMAD “ZEB” RAZVI
GENERAL SECRETARY,ALLAHABAD
ALL INDIA JAMAT-E RAZA-E MUSTAFA