👉 Sms prepared by 👈
ZEBNEWS
** Monday ** SawaL-JawaB **
is hafte 25 ke qareeb sawalat mere paas aaye jinme se kuchh ka jawab maine de diya tha aur kuchh ka jawab dena tha,magar ittefaq se kal mera whatsapp auto update ho gaya aur backup me mere msg bhi nahin aaye,ab kisne kya poochha tha mujhe yaad nahin magar kuchh sawal jo yaad rah gaye unhein jawab ke saath post kar raha hoon wo bhi bagair naam ke
Sender by —-
xyz
sawal — agar kisi ke paas 25000 rs ho to uspar qurbani wajib hai lekin qurbani se pahle agar wo paisa kisi ko qarz de diya to ab bhi kya uspar qurbani ka hukm hai
jawab — Bhai agar rs. paas hai hi nahin to nisab kahan hua,haan agar qurbani ke 3 dinon me kabhi bhi wo paisa mil jaaye to qurbani wajib ho jayegi lekin qurbani ke din guzarne ke baad maal wasool hua to qurbani wajib nahin hai
BAHARE SHARIYAT,H 15,P 133
Sender by —-
xyz
sawal — kya qurbani ke gosht par fatiha ho sakti hai
jawab — bilkul ho sakti hai
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
Sender by —-
xyz
sawal —
Sender by —-
xyz
sawal — suna hai ki hazrat khizr alaihissalam ke anguthe me haddi nahin hai kya ye sahi hai
jawab — ji haan unke anguthe me haddi nahin hai aur unka angutha misl baaki ungliyon ke barabar hai,aur ek musalman se uski poori zindagi me aap 1 martaba musaafa zaroor karte hain
RIJALUL GAIB,SAFAH 138
Sender by —-
xyz
sawal — zilhaj me jo tasbih padhi jaati hai usko kab tak padhna hai
jawab — ayyame tashreek yaani 9 zilhajj ko fajr se shuru karke 13 ki asr tak padhna hai,aurtein bhi ghar me padhen,takbeere tashreek ye hai ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR LAA ILAHA ILLLALLAHO WALLAHO AKBAR ALLAHO AKBAR WALILLAHIL HAMD
Sender by —-
xyz
sawal — kya aurat mazaar par khidmat ke liye rah sakti hai agar parde me rahe to kya hukm hai
jawab — aurton ko masjid me jaane ki ijazat nahin hai agar che parde me jaaye to fir mazaar par jaane ka aur wahan ki khidmat anjaam dene ka kya sawal,ye bidate shaniya hai aur agar gair mahram se ikhtelaat hota hai jab to haraam hai
FATAWA RAZVIYAH,J 2,P 165
Sender by —-
xyz
sawal —
Sender by —-
xyz
sawal —
jawab —
Sender by —-
xyz
sawal — iblees ki paidayish kaise huyi
jawab — ALLAH ne bhediye aur saamp ki shakl me 2 surat paida farmayi,bhediye ki surat ka naam khablees aur saamp ki surat ka naam nablees tha,dono ne sohbat ki jisse iblees paida hua
MAREJUN NUBUWAT,J 1,P 15
*** agar aapke dil me bhi kuchh deeni sawalat ho aur jinka jawab aap maslake AALAHAZRAT ki roushni me chahte ho type karen
Apna naam
Apna shahar
Apna sawal
aur whatsapp karen 9335732950 par.
NAUSHAD AHMAD “ZEB” RAZVI
GENERAL SECRETARY,ALLAHABAD
ALL INDIA JAMAT-E RAZA-E MUSTAFA