sawal —Aaj wahabio ke piche namaz padhne jor diya jata hai kahte hai Masjide Nabwi me 50 hazar namazo ka sawab hai
jawab —wahabiyon ke peechhe namaz nahin padhi jaayegi agar che 50000 kya 50 crore nekiyan milti ho,wahabi ke peechhe namaz padhna haraam unhein imaam banana haraam,aur agar maaz ALLAH unhein musalman samjhe jab to khud hi kaafir hai,ye inaam sunniyon ke peechhe padhne par hai warna wahabi to darkinar jo sunni wahabiyon se mel jol rakhta ho uske peechhe namaz makruhe tahrimi yani najayaz hai
Fatawa razviya jild 3 safah 269
Muhammad imran – alld
sawal — wahabiyon ki azaan ka jawaab dena kaisa hai
jawab — na unki azaan azaan hai na unki namaz namaz aur na hi unka koi deen hai magar ALLAH taala ke naam ke saath jallajalluhu aur HUZOOR ke naam ke saath sallallaho taala alaihi wasallam padha jaaye agar che koi unka naam pukaare
MUFTI SHAFIQ AHMAD SAHAB SHARIFI qaaziye shahar allahabad
muhammad fahad – alld
sawal — ye bataye ki kya wali apni qabr me zinda hain
jawab — bila shubah zinda hain,hadise paak me hai ki jab tum qabristan jao to unhe salaam karo ki wo tumhe pahchaante hain to kya huzoor murdon ko salaam karne ko kah rahe hain aur murda kaise pahchanega matlab saaf hai ki musalman apni qabr me zinda hai to fir waliyon ka kya kahna aur wali to wali musalman to musalman khud huzoor badr ke murda kaafiro se mukhatib hue to hazrate umar ne farmaya ki kya huzoor bejaan jismo se baat kar rahe hain to ispar aap farmaate hain ki “ai umar khuda ki kasam koi zinda aadmi inse zyada meri baat ko nahin samajh sakta” to jab kaafiro ke murdo ka ye haal hai to fir waliyon ka haal ALLAHU AKBAR
bukhari sharif,jild 1,page 183
Amir raza – sambhal
sawal — ya shaikh abdul qadir jilani padhna kaisa hai
jawab — bilkul jaayaz aur durust hai,AALAHAZRAT farmaate hain ki wali to khud unki taraf ruju karte hain, ye seega huzoor sayyadna ghouse aazam razi allahu taala anhu ki baargaah me istegaasa ke alfaaz hain agar hamesha wird me rakhe to har mushkil aasan ho insha ALLAH
ALAMALFOOZ,HISSA 1,PAGE 106
Manzar khan – kanpur
sawal — Naushad bhai,kya zakaat ke paise se dana khareed kar kisi jaanwar ya parinde ko khila sakte hai.
jawab — Bhai jaan zakat par tamleek shart hai matlab kisi faqeer wa miskeen ko zaqat ke rupye ka maalik bana dena,Agar kisi ne hotel se zaqat ke paise se khana kharida aur kisi miskeen ko khila diya to yahan tamleek nahin huyi balki abahat huyi lihaza zakat ada na hogi,To fir parindo ko khilane par zakat ke ada hone ka koi sawal hi nahin
bahare shariat,hissa 5,safah 60