Afsar raza – nagpur,mhr
sawal — wahabi taawiz pahanne ko shirk batate hain kya aisa hai
jawab — shirkiya alfaaz ke saath dam karna taawiz baandhna aur jaadu karna shirk hai
almuajjamul kabir,jild 10,page 262
yahan saaf tashrih farmayi ja rahi hai ki shirkiya alfaaz ke saath warna warna hadise paak me hai ki
- tum nazre bad ke liye dua taawiz karao
bukhari,jild 3,safah 290,hadees 5744
anwarul hadis,safah 224
aur khud huaur sallallaho alaihi wasallam ka amal bhi dekhiye
- hazrat khattabi razi allahu taala anhu farmaate hain ki qurane paak ke kalimaat ya allah taala ke asmaye mubarak ke saath dam karna jaayaz hai kyunki nabiye akram huzur sallallaho alaihi wasallam khud hazrat imam hasan wa hazrat imaam husain razi allaho taala anhu ko dam karte aur unke gale me taawiz daalkar yun farmaate the ki ” main tum dono ko allah taala ke kaamil kalimat ke saath har shaitan aur zahrile jaanwar ke shar se aur har sharir aankh se allah ki panaah me deta hoon
huliyatul auliya,jild 5,page 56
haan bina wajah jo log haatho me ya galo me dora daale hue firte hain ye sakht mana hai agar unse kuchh kaho to kahte hain ye ajmer se laaye hain ye kaliyar se laaye hain to ye koi daleel na huyi yun to in muqaddas maqamat par hazaro hi khilafe sharah kaam hote hai kya un buzurgaane deen ki nisbat se har naajayaz kaam jaayaz ho jayega hargiz nahin
sawal — Galle ya phal par zakat kaise niklegi
jawab — Galle ya phal par zakat nahin ushr nikalta hai iski 2 soortein hain agar khet paani khareedkar seencha gaya hai jab to 20wa hissa niklega yaani 20 kilo me 1 kilo aur agar wo khet bagair paani khareede seench gaya hai maslan naali ke paani se ya barsat ke paani se to jab to 10wa hissa ushr dena hoga yaani 10 kilo me 1 kilo
QAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SHARIFI
sawal — Assalmoalaikum bhai,Hazrat sayyadna Usman Gani Radi allahu ta’ala anhu ko jisne shahid kiya tha uska naam
jawab — hazrat usman gani razi allahu taala anhu ke qaatil ka naam aswad tajibi hai
mishqat,asmaye rijaal,safah 602
ek aur qaul kinana ibn basheer bhi aaya hai
taarikhe islam,jild 1,safah 414
Amir raza – sambhal,up
sawal — ek sakhas masjid main Namaz padh raha tha or us ke barabar main ek wahabi bhi to aisi namaz ka kya hukm hai
jawab — saf qata karna yaani kaatna,todna haraam hai huzoor farmaate hain ki jo saf qata kare allah use qata kar dega to wahabi devbandi wagairah bad mazhab agar saf ke beech me khade ho gaye to yaqinan saf qata hogi aisa na chahiye
fatava razviya,jild 3,safah 374-264