sawal — Safar me namaz qazaa ho gayi to usme qasr karenge ya nhi
jawab — Jab kasr qaza huyi to adaygi bhi kasr ki hi hogi
fatawa razviya,jild 3,safah 669
sawal — shaadi me sehra baandna kaisa hai
jawab — khaali phoolon ka sehra jaayaz hai
almalfooz,hissa 1,safah 38
Muhammad shadab – alld
sawal — shabe baraat me jaagna aur kabristan jaana kahan se saabit hai
jawab — mazaarate auliya par jaana unse madad maangna main kayi baar is par post kar chuka hu
ummul momeneen sayyadna aayesha siddiqa razi allahu taala anhu farmati hai ki ek raat huzoor sallallaho alaihi wasallam achanak mere paas se chale gaye jab mujhe maloom hua to main aapki talaash me nikli aur aapko jannatul baqi ke qabristan me maujood paaya us waqt aapka sar mubark aasmaan ki taraf tha jab aapne mujhe dekha to farmaya ki ai AAYSHA kya tujhe ye khouf ho gaya tha ki ALLAH ka rasool tujhpar zulm karega to main ne arz ki ki maine khayal kiya ki shayad aap apni kisi doosri biwi ke paas tashrif le gaye hain to app farmaate hain ki 15wi shabaan ki raat me ALLAH taala logo ki tauba qubool karta hai aur is raat is qadar logon ke gunaah maaf karta hai ki unki taadad bani qalb ki bakriyon se bhi zyada hai
mishqat sharif,safah 114
jab khud nabiye paak sallallaho alaihi wasallam qabristan gaye to fir musalmano par bila wajah haraam aur shirk ka fatwa dena ye zulmo zyadti hai
sawal — hazrat kya shabe meraj ko huzoor ghouse paak ki rooh ne huzoor ko kandha diya tha,hadis se hawala dein
jawab — aalahazrat farmaate hain ki shabe meraj jab huzoor sallallaho alaihi wasallam ne buraq par baithne ke liye jaise hi usko haath lagaya wo farte masarrat me phoolkar 40 haath ooncha ho gaya ye dekhkar fouran huzoore ghouse paak razi allahu taala anhu ki rooh haazir huyi aur nabi ne huzoore ghous paak ke gardan par qadam rakhkar buraq par sawaar hue to aapne farmaya ki aaj mera qadam teri gardan par aur kal tera qadam tamam auliya ki gardano par hoga
shrah hadayaqe bakhshish,safah 81
aur ye riwayat hadis me nahin balki huzoor ghouse paak ki seerat ki kitabon me milegi,jisko maanna ho maane jisko nahin maanna unko manwane ka koi ilaaj nahin,haan magar iske inkar par kisi qism ka etaab nahin hai