sawal — mera jis ladki se nikaah hua uske waalid ko pata nahin tha kuchh log kahte hain ki nakah jaayaz hai aur kuchh najayaz,kya mera nikah jaayaz hai
jawab — aulad ke baalig hone ke baad unki marzi ke baghair to waise bhi unka nikah koi nahin kara sakta agar ladka ladki sunni the jinhone 2 sunni sahiul aqida gawahon ke saamne nikah kiya to nikaah jaayaz hai haan baap ki naafarmani ke kusoorwar zaroor hue ye gunaah hai
BAHARE SHARIYAT,HISSA 7,PAGE 10
muhammad imran – alld
sawal — Mgrib ka wqt kb tk rhta h
jawab —Waqt to isha tak rahta hai magar bila wajah itni der kar dena ki aasmaan me bade bade sitare zaahir ho jayen makruhe tahrimi yani najayaz hai
fatawa razviyah,jild 2,page 226
sawal — kya maula ali ko maula kah sakte hain
jawab — bilkul kah sakte hain,hadise paak me aata hai ki huzoor sallallaho alaihi wasallam farmaate hain ki jiska main maula hoon ali bhi uske maula hain
SHAANE SAHABA,SAFAH 117
Sayeed khan – alld
sawal — waliyon ki mazaar par mannat ke lihaaz se dori baandhna kaisa hai
jawab — mannat maanna jaayaz hai magar dor wagairah baandhna be asl hai aur dor haathon me lapete rahna najayaaz
MUFTI SHAFIQ AHMAD SAHAB SHARIFI qaaziye shahar allahabad