muhammad farhan – alld
sawal — Jumaa ko nafil roza rakh sakte hai
jawab — Sirf juma ko khaaskar roza rakhne ko mana farmaya gaya hai,behtar ye hai ki uske aage ya peechhe bhi roza rakhe magar sirf juma ko hi rakh lene par koi gunah bhi nahin hain
bahare shariyat,hissa 5,page 141
sawal — kya kisi kaafir ko sadqa dene se sadqa ada ho jaayega
jawab — hindustan agar che daarul islam hai magar yahan ke kaafiro ko hadiya tak dena jaayaz nahin to sadqa dene se hargiz ada nahin hoga
BAHARE SHARIYAT,HISSA 5,SAFAH 63
sawal — kya jo jagah wuzu me dhona farz nahin hai maslan pet me daana phoota khoon baha magar bahkar pair tak na pahuncha to kya wuzu nahin tootega
jawab — pet me ya kahin bhi daana phoota agar sirf chamak kar rah jaaye to hargiz nahin tootega magar jaisa ki sawal me hai ki baha to jin jagahon ka dhona wuzu ya gusl me farz hai agar un jagahon se khoon ki 1 boond bhi apni jagah se hati to yaqinan wuzu toot jaayega agar che khoon bahkar aadha inch aage jaakar khud se hi sookh jaaye
BAHARE SHARIYAT,HISSA 2,SAFAH 24
sawal — loud speaker par namaz ka kya masla hai
jawab — shahzadaye AALAHAZRAT huzoor muftiye aazam hind alaihirrahmato warrizwan farmaate hain ki “loudspeaker ki aawaz imaam ki awaaz nahin balki uski aawaz ki nakl hai aur namaz me gair ki iqtida kare ye namaz ko faasid kar deta hai”
FATAWA MUSTAFVIYA,PAGE 10
magar kuchh sharto ke saath ulma ikraam ne use jaayaz rakha hai jaise ki jamaat kaseer ho aur kuchh kuchh doori par muqabberin hazraat taqbeer kahte rahen agar in sharton ke saath loudspeaker istemal karen to jaayaz hai magar fir bhi behtar nahin hai lihaza jitna ho sake bacha jaaye