sawal — 4 nabi ab tak zinda hain,3 ke baare me to mujhe pata hai par hazrat ilyaas alaihissalam ka kya waaqya hai
jawab — hazrat ilyaas alaihissalam ko jab yahudiyon ne qatl karna chaha to aapne rub se dua ki ki maula mujhe inki nazro se ruposh karde yaani chhipa de,aapki wo dua qubool huyi ki aap unki nazron se gaayab ho gaye aur aaj tak ruposh hi hain,hazrat ilyas alaihissalam khushki par muqarrar hain aur hazrat khizr alaihissalam paani par,dono hazraat hajj ke mauqe par milte hain,nabi kareem sallallaho alaihi wasallam se bhi aapki mulaqaat saabit hai
TAZKIRATUL AMBIYA,SAFAH 195
sawal — suppose kisi ne 3 Month pure nahi kiye aur usne nikah kar sasuraal aa gai aur reh rahi he to phir uska kya solution hai
jawab — Zina khaalis hai iddat ki haalat me nikah to darkinaar nikah ka paigaam dena tak haraam hai jin logo ka nikah hua jisne nikah padhaya jo gawah bane agar wo is baat ko jaante the ki ladki iddat me hai aur is nikah ko halaal jaana jab to sab ke sab islam se kharij hain tajdide iman tajdide nikah tajdide bait sab hi karni padegi aur agar ilm nahin tha to sab par tauba farz hai
Ladka ladki ko chahiye ki fauran alag ho jaye apne shahar ke darul qaza me istifta karen jo hukm aaye uspar amal karen
Almalfooz hissa 1 page 36
Ibraheem chishty – jhansi
sawal — kya maula ali ke ya imamo ke naam ke saath alaihissalam laga sakte hain,maine suna hai ki bukhari sharif me 27 martaba imamo ke naam ke saath alaihissalam likha hai
jawab — alaihissalam ka seega sirf ambiya aur farishton ke saath hi khaas hai,aur yahi maasoom kahe ja sakte hain,unke alawa sahaba ikraam ya imamain ya kisi aur ke naam ke saath alaihissalam lagana mana hai,aur ye 27 martaba waali baat bilkul manghadant hai,kahin bhi bukhari sharif me aisa nahin aaya hai
HAYATE AALAHAZRAT,H 1,P 349