Muhammad nizam – lukhnow
sawal — bhai kya sirf sahaba ikram ko hi razi allahu taala anhu lagana chahiye,daleel bhejiye
jawab — gair sahaba ke saath bhi razi allahu taala anhu laga sakte hain
durre mukhtar jild 5 page 480
nasimur riyaz jild 3 page 509
ashatul lamaat jild 4 page 743
shaami jild 1 page 35-36-37-42
tafseere kabir jild 6 page 382
mirqat sharah mishqat jild 1 page 3-27
tahtaavi page 11
ahyaul uloom jild 2 page 7
fatahul baari page 18
akhbaarul akhyar page 15-16-18-21
tafseer saavi jild 1 page 3
balki jo aitraz karte hain khud un wahabiyon ne bhi maulvi qasim nanotavi aur rasheed ahmad gangohi ko razi allahu taala anhu likha hai
tazkiratur rasheed jild 1 page 28
sawal — kya ghutna khula rahe to tilawat kar sakte hain
jawab — ghutna satar me daakhil hai aur satar khula rakhkar tilawat hargiz behtar nahin
sawal — agar haalate haiz me sohbat karne se hamal thahar jaaye to kya karen
jawab — haalate haiz me sohbat karna haraam hai us haalat me ki huyi sohbat se paida hua bachcha waldul haraam hoga,magar hamal saakit karna mana hai
QAAZIYE SHAHAR ALLAHABAD MUFTI SHAFIQ AHMAD SAHAB SHARIFI
Syed saifi ali – alld
sawal — kya har bhikhari ko bheek dena mana hai
jawab — bilkul mana hai,AALAHAZRAT farmate hain tandrust ko sawaal karna haraam aur usko dena bhi haraam hai
fatava razviya,jild 4,safah 498